besabab baat barhane ki zarorat kya hai.

besabab baat barhane ki zarorat kya hai.

hum Khafa kab the manane ki zarorat kya hai.

aap ke dam se to duniya ka bharam hai qaayam.

aap jab hain to Thikane ki zarorat kya hai.

tera kucha, tera dar, teri gali kaafi hai.

bethikano ko Thikaane ki zarorat kya hai.

dil se milne ki tamanna hi nahii jab dil men.

haath se haath milane ki zarorat kya hai.

Post a Comment

0 Comments