bikharte Toot'te lamhon ko apna hum'safar jaana.

bikharte Toot'te lamhon ko apna hum'safar jaana.

tha is raah men aakhir hamein Khud bhi bikhar jaana.

hawa k dosh par baadal ke Tukare ki tarah hum hain.

kisi jhonke se pochenge k hai hum ko kidhar jaana.

mere jalte huwe ghar ki nishani bas yehi hogi.

jahaan is shahar men roshani dekho Thehar jaana.

pas-e-zulmat koi soraj hamara muntazir hoga.

isi ek veham ko hum ne chiraag-e-rah_guzar jaana.

dayaar-e-Khaamashi se koi reh reh kar bulata hai.

hamein "Makhmoor" ek din hai isi Aawaaz par jaana.

Post a Comment

0 Comments