Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham 

Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham
To ab ye logoN ki baatein suna na karte ham 

Agar na haath mein us dilruba k dil dete 
To dil pe haath sada dhar lia na karte ham 

Us aafat-e-dil o jaaN par agar na mar jaate 
To apne marne ki har dam dua na karte ham 

Na karte us ki, ba-rang-e-hina, jo paa-bosi 
To shakl-e-barg-e-hina yuN pisa na karte ham 

Agar na haNsna haNsaana kisi ka bhaa jaata 
To baat baat pe yuN ro dia na karte ham 

Agar na dekhte wo pyaari pyaari surat, aah! 
To eik eik k muNh ko taka na karte ham 

Post a Comment

0 Comments