Main mar raha hon Tumhari khatir Tum apni khatir mujhe bacha lo

Wo ja raha hai bichar k mujh se udas tanha isay mana lo
Jo main ne roka to ro paray ga isay pokaro isay mana lo

isay bata do Mohabaton me ye lamhe rehtay hain aatay jatay
Charagh bujne lage agar to wafa ye kehti hai phir jala lo

Malal kaisa Shikastigi ka isay to hona hi tha kisi ka
Agar wo ho hi gaya kisi ka to Aesa hone pay khaak dalo

Yehi takaza bhi hai wafa ka yehi rewayat bhi hai waha ki
Jo ro raha ho hasao is ko jo mar raha ho isay bacha lo

Chalo ye qissa tamam kar do Na Tum Hamaray Na Hum Tumharay
Kisi ko parhta hi fark kia hai khamosh reh lo ya shor macha lo

Tumhari yadoon ka wo nasha hai k ab sambhalna howa hai mushkil
Agar main waquii hon tumhara to girtay girtay mujhe sambhalo

Ye tum ko shayad na ho gawara main tum se waqif hon Jaan Meri
Main mar raha hon Tumhari khatir Tum apni khatir mujhe bacha lo 

Post a Comment

0 Comments