Mere khuwabon ka pakistaan

Jahan ho zindagi asaan
Jahan ho aman ka samaan
Jahan imaan ho imaan
Jahan insaf ho pehchan
Mere khuwabon ka pakistan
Jahan rangeen saweirey hun
Jahan khushbu k deirey hun
Jahan sab log mere hun
Jahan ho sab ko itmenan
Mere khuwabon ka pakistaan
Jahan uljhan na ho koi
Hahan dushman na ho koi
Jahan qadghan na ho koi
Sakoon sab ko miley har aan
Mere khuwabon ka pakistaan
Jahan hun titliyaan har su
Jahan phuloon ki ho khushbu 
Jahan ho chein ka jadu
Zamaney bhar mein aali shaan
Mere khuwabon ka pakistaan
Jahan hun piyar Ki Batein 
Jahan pur amn hun ratein
Milein khushiyun ki soghatein
Mera dil aor meri jaan
Mere khuwabon ka pakistaan

Post a Comment

0 Comments