Mere muntazar Mujhay hy Khabar

Mere muntazar
Mujhay hy Khabar
Tu hy Muztarib
Tu hy muzmahil
Na ho bad gumaaN na khyaal kar
Sabhi waswasoN ko nikaal kar
Tu yaqin kar meri zaat ka
Tu yaqin kar meri baat ka
Mere moatabar
Mere mohtaram

maiN juda nahiN maiN hooN tuj maiN zam
Zra muskura na kar aaNkh nam
MiaN gumaaN nahiN maiN yaqin hooN
Teri dhaRkanoN ki ameen hooN
Teri raahatoN ki ameen hooN
Mere hamnfas
Mere chaara gar
Na ho muztarib
Na ho muzmahil
Tu yaqin rakh
Tu yaqin rakh

Post a Comment

0 Comments