Zinda hun es tarah ki gham-e-zindagi nahi,

Zinda hun es tarah ki gham-e-zindagi nahi,
jalta hua diya hun magar roshani nahi.
-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
wo muddaten huin hain kisi se juda hue,
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahi.
-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
aane ko aa chuka tha kinara bhi samane,
khud uske pas meri hi nayya gai nahi.
-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
hoton ke pas aaye hansi , kya majal hai,
dil ka muamala hai koi dillagi nahi.
-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
ye chand ye hawa ye fiza, sab hai mand mand,
jo tu nahi to in mein koi dil-kashi nahi.
---------------------------------------------

famous shayar name list
famous shayar ki shayari in hindi
famous urdu poetry lines
famous shayari of famous shayar
best shayar in the world
famous shayari on life
ahmad faraz shayari collection
best urdu poetry

Post a Comment

0 Comments