Tujhe izhar e Mohabbat Say Agar Nafrat Thi

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thi, 
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota 

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath 
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota 

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau 
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota 

Youn To Howin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein 
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota 

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee 
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota 

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm 
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota 

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati 
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota 

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka 
Warna Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

Post a Comment

0 Comments