Tamaam umar jale aur raushni nahin ki,

Tamaam umar jale aur raushni nahin ki,
Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki,

Sitam to yeh hai ke mere khilaaf bolte hain,
Woh log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki,

Jo dil main aata geya sidq-e-dill se likhta geya,
Duaayen maangi hain main ne to shayari nahin ki,

Bass itna hai ke mera bakht dhal geya aur phir,
Mere charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki,

Meri sipaah se duniya larazne lagi hai,
Magar tumhari to main ne baraabri nahin ki,

Kuch is liye bhi akela sa ho geya hoon nadeem,
Sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki

Post a Comment

0 Comments