Hamein Pasand Sahi, Ab Ye Rang Mat Pehno

Hamein Pasand Sahi, Ab Ye Rang Mat Pehno.
Paraaye Tan Pay, Meri Umang Mat Pehno.

hamari rooh py parhti hain.. badnuma sikhne
libas pehno... magar itna tang mat pehno

hamare sath zamana bhi chal paray na kahin
tum apne paon mein.. ye jaltarang mat pehno

aana chamakne na de gi tumhain kisi rut mein
tum aaina ho meri jaan.. ye zang mat pehno

faza parast hai wo.. is se kia kahein Asim
k laal aurh lo.. aur sabz rang mat pehno

Post a Comment

1 Comments