Jab yaar ne rakht E safar baandha kab zabt ka yaara us din tha

Jab yaar ne rakht E safar baandha kab zabt ka yaara us din tha
Har dard ne dil ko sehlaaya kya haal hamaara  us din tha

Jab khwab hoi us ki aankhain jab dhund hua us ka chehraa
Har ashk sitaara us shab tha har zakhm angaara us din tha

Sab yaaron ke hote sote hum kis se gale mil kar rote
Kab galiyan apni galiyan thein kab shahr hamaara us din tha

Jab tujh se zara ghafil Thehre har yaad ne dil per dastak di
Jab lab pe tumhara naam na tha her dukh ne pukaara us din tha

Ek tum hi Faraz na thay tanha ab ke to bulaawa jab aaya

Ek bheer lagi thi maqtal mein her dard ka mara us din tha

Post a Comment

0 Comments