khwab main bhi tera khyaal raha

khwab main bhi tera khyaal raha
youn bhi sona mera mahaal raha

wo kisi aor ka bhi ho na saka
mujh ko is baat ka malal raha

us ki ankhon main ashk jamtay gaye
mere lab per bhi ik sawaal raha

tum to kuch der ashk baar rahay
main bari der tak nidhaal raha

mere matam pe agayin khushiyan
moat ka saniha kamaal raha

kiyun mere din ujjar ujjar k basay
kiyun meri raat per zawaal raha

Post a Comment

0 Comments