tu aik bar mujhe razdan bana leta

tu aik bar mujhe razdan bana leta
main ainon se tera aks bhi chura leta

suna hai baat bananay main tu bhi mahir hai
so koi baat mere rubaru bana leta

main apni phooti hui ankh per raha raazi
main tere khwaab se ab intiqaam kya leta

main is tarah se tujhay tootne nahi deta
agar tu aa k muje haal e dil suna leta

main waajbaat e muhabbat pe sochta bhi nahi
main apna aap ganwa kar bhi tujh ko paa leta

zara c der pe tuu ne utha liya mehsar
main sogya tha to aa kar mujhay jaga leta

Post a Comment

0 Comments