wahan jhooton pe sab razi thay lekin

wahan jhooton pe sab razi thay lekin
yahan per hum hi lalkaray gaye bas

tumhara sheher sara kese jeeta?
zabardasti hami haray gaye bas?

tujhay ae zindgi ab kya batayen
hamaray jaan se pyaray gaye bas

abhi bas chaand ka dum tootna hai
abhi tum dekhna taray gaye bas

hamain mansoor thehraya gya hai
hamain pathar nahi maray gaye bas

balayen kis tarah teri talen gi
tere sadqay main hum vaaray gaye bas

Post a Comment

0 Comments