wo jo lagta hai hamain jaan se pyara, pagal

wo jo lagta hai hamain jaan se pyara, pagal
wo hai lakhon main faqat aik hamara, pagal

teri daryaon c adat hi tuje le doobi
main batata bhi raha yeh hai kinara ,pagal

har kisi se nahi umeed lagayi jati
har koi de nahi sakta hai sahara, pagal


wo bhi qiston main dkhata hai adayen apni
wo bhi hone nahi deta mujhay sara pagal

is pe kya rona tumhain koi samjhta hi nahi
mujh se aa kar to kaho main hon tumhara pagal

sath tum thay to hamain raas tha pagal pan bhi
ab tere baad karain kese guzara pagal

door tum jab se huye tab se hamaray hissay
bas khasara hai, khasara hai, khasara, pagal

Post a Comment

0 Comments