Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain
Nadaan hain hum bhi kay ye kya dhoond rahy hain

Hum log muqadar kay sikandar to nahi hain
Kiya soch ke phir aab e baqa dhoond rahy hain

Khamosh fizaaon main ye bechain parindy
Is habs ke mosam main hawa dhoond rahy hain

Jo Dil se nikalty hei tere Qalb ko chhu lay
Hum log wohi harf e Dua dhoond rahy hain

Ek shakhs nay manga tha kabi hum ko Dua me
Us shakhs ko ab tak BaKhuda dhoond rahy hain







Post a Comment

0 Comments