Agar kabhi koi lamha Aisa zakhm de jaye.

Agar kabhi koi lamha Aisa zakhm de jaye.

K koi bhi marham us Zakhm ko na bher paye.

Tum udas mat hona Mehv-e-yaas mat hona.

Zindgi k sub mausam Aik se nahi hote.

Saray log ay humdum Aik se nahi hote.

Zindgi ki rahon main Hadsey bhi atey hain.

Hadson se barh ker kuch Waaqay bhi atay hain.

Waqt k hi marhum se Zakhm bher bhi jatay hain.

Din buray hon ya achay Bus guzer hi jatay hain.

Waqt ko guzerna hai Zakhm ko bhi bherna hai.

Dard k charhay derya Ko abhi uterna hai.

Tum udas mat hona Mehv-e-yaas mat hona.

Post a Comment

0 Comments