Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain.

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain.
Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain.

Main dhoondta phirta hon jise kocha ba kocha.
Iss naam k insaan yahan aam bohat hain.

Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan.
aisay Bazaar main iss shay k ab daam bohat hain.

Taareef kron teri mohobat ke zaban main.
Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain.

Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan se.
Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain.

Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat.
K dau k siwa wasl k anjaam bohat hain.

Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha.
Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain.

Maayal haiy Shaukat zindagi anjaam ke jaanib.
Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain.













Post a Comment

0 Comments