aur bal banaun kis k liye.
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye.
jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai.
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye.
wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha.
ab aise-waise logon k main naaz uthaun kis k liye.
ab shahar main is ka badal hi nahi.
koi waisa jan-e-gazal hi nahi.
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye.
muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza.
in khali kamron main Nasir.
ab shamma jalaun kis k liye.
0 Comments