Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe.

Qateel Mere Samney Chura Liya Gaya Mujhe.

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Siyahiyan Bikhar Gaen To.

Roshni K Wastey Jala Liya Gaya Mujhe.

Barah-E-Rast Rabta Na Mujhse Tha Qabool Unhain.

Likhwa K Khat Raqeb Se Bula Liya Gaya Mujhe.

Jab Un Ki Deed K Liye Khara Tha Main Kataar Me.

Na Jane Kyon Kataar Se Hata Liya Gaya Mujhe.

Mein Rondney Ki Chez Tha Kisi K Paon Se Magar.

Kabhi Kabhi To Zulf Mein Saja Liya Gaya Mujhe.

Poucha Gaya Wafa Hai Kya.? Jawab Tha K Zindagi.

Qateel Piyar Se Galey Laga Liya Gaya Mujhe.