Jaiz hai uska qatl hamary hisab se..

Jaiz hai uska qatl hamary hisab se..
Jisne mohabbaton ko nikala nesaab se..

Tanqeed kar rahy hain kitaab-e-hayaat pr...
Aagey na barh saky jo kabhi intisaab se..

Mai sahib-e-Khabar bhi nazar bhi junoo'n bhi tha...
Jab tak raha tha mera ta'alluq kitab se..

Us waqt aik sajda bary kaam a gaya...
Main jab guzar raha tha anaa k azab se..

Ik lamhy ka firaq hawaei'n na seh'h saki..
Darya keh sharmsaar rahega ahbaab se..

Mujse bary bary thy guneh'gar us jaga..
Be'kaar dar raha tha mai yom-e-hisaab se.

Kaanto'n k khouf se bhi larazty ho tum FARAZ...
Aor ghar bhi chah'tey ho sajana gulaab se

Post a Comment

0 Comments