Kyun na hum ehd-e-rafaqat ko bhulane lag jayain
Shayed us zakhm ko bharne mein zamane lag jayain
Nahin aisa bhi ke ek umar ki qurbat ke nashe
Aik do roz ki ranjish se thikane lag jayain
Yahi naseh jo humain tujh se na milne ko kahain
Tujh ko dekhain to tujhe dekhne aane lag jayain
Hum ke hain lazzat-e-aazaar ke maare huye log
Charahgar aayain to zakhmon ko chupane lag jayain
Rabt ke sainkron heele hain,muhabbat na sahi
Hum tere sath kisi aur bahane lag jayain
Saqiya! Masjid-o-maktab to nahin maikhana
Dekhna,phir bhi ghalat log na aane lag jayain
Qurb acha hai magar itni bhi shiddat se na mil
Yeh na ho tujh ko mere rog purane lag jayain
Ab Faraz aao chalain apne qabeele ki taraf