Wo jo mehav thay
sar-e-aina,
Pass-e-aina b to dekhtay,
Kabhi roshni mein wo teergi ko chupa huwa b to dekhtay,
Sar-e-aab jo raha tashna Lab, to ye zbt-e-gham ki hai inteha,
Mere haal pe thay jo nuqta cheen,
mera hosla b to dekhtay,
Wo utar gaye thay jo paar khud,
mujhe beech behar mein chor kr,
Tha jo un mein itna hosla mujhe dobta b to dekhtay,
Jinhein mujh se hai ye gila k main
raha be-nayaz-e-khaloos-o-rbt,
Mere gird
rasm-o-riwaj ka kabhi da'ira b to dekhtay,
Wo meri hansi se hain khush gumaa'n,
k nishat-e-zeest hai mudd'aa,
Mere ashk-e-gham ka ruka huwa kabhi qafila b to dekhtay!!
0 Comments