koi Apna Nahi Banta

"koi Apna Nahi Banta"
Labon pay Naam Rakhne se.
Dilon me yaad karne se.
Har ek Dharkan,
Har ek Tarpan kisi k Naam karne se.
"koi Apna Nahi Banta"

Tamam umar ki khushiyan.
Mohabbat ki sabhi Ghariyan kisi ko daan karne se.
kisi pe maan karne se.
"koi Apna Nahi Banta"

woh Pehle piyar ki Batain.
Rafaqat ki sabhi Ratain.
woh Chahat ki sabhi Rasmain.
Muhabbat ki sabhi Qasmain.
Hamesha yaad Rakhne se.
"koi Apna Nahi Banta"

kisi Tanha Akeli Rahguzar par
purane se kisi Burhay shajar par
Patthar se koi Dil Banane se
aur
usmain apna or kisi ka Naam sajane se.
"koi Apna Nahi Banta"

k jab Aankhain hi Mar jayen.
To phir Sapna nahi Banta.
ye jeewan daan bhi kar dain
To bhi apna nahin banta.
"koi Apna Nahi Banta"

Post a Comment

1 Comments