Kabhi jo mujh ko talash kerna



Kabhi jo mujh ko talash kerna
to chaand raaton ki chandni me,
Gul-e-chaman se sawal kerna,
Udaas kyun ho.?

Kyun auss k qatron me apne aansu chupa rahe ho.?
Haseen mosam me kiski yadon me apne dil ko jala rahe ho.?

Gul-e-chaman ye sawaal sun ker,
kahe ga tum jis ko khojtay ho,.

wo in baharon ki saari khushbu chura k ab ik
naye chaman me mehak raha hai,
Udas ker k yahan pe hum ko,
Kisi chaman me chehak raha hai,

Gul-e-chaman ka ye haal sun ker,
tumhein lage ga me BEWAFA hun,

Udaas kaliyon ko chor ker me,
Nayi baharon ko dhundta hun,

Main aaj bhi ik naye chaman me purany qissay suna raha hun,

Jo meri chahat ki apsra thi,
me aaj bhi us ko poojta hun,
Yaqeen nahi to palat k daikho,

WAHIN KHARA THA,
WAHIN KHARA HUN''

Post a Comment

0 Comments