Kya Yehi ishq ka Mayaar Bana rakha hai

Kya Yehi ishq ka Mayaar Bana rakha hai
Kya Yehi ishq ka Mayaar Bana rakha hai
Tum Ne Hr Shakhs ko DiLdaar Bana rakha hai

Log Aate hain Thehrte hain Chale Jate hain
Tum Ne to Dil ko bhi Bazaar Bana rakha hai

Aankh mein Ashk Bhare Jisam pe Maatam k Nishaan
ishq Ne Sab ko Azadaar Bana rakha hai

Sach to Ye hai k khud Apna Mukhalif Main hoon
Khud ko Khud Raah ki Dewaar Bana rakha hai

Dukh to Ye hai k Wo Saari hi Kahani main Nahi
Hum Ne Jis ko Markzi kirdaar Bana rakha hai

Post a Comment

2 Comments