Meri zindagi k charagh ka ye mizaj koi naya nahi

Meri zindagi k charagh ka ye mizaj koi naya nahi

Kabhi roshani kabhi teergi, na jala hua na bujha hua,



Mujhe aap kyun na samjh sake ye apne dil se poochiye !

Meri dastaan_e hayat ka,



Hai warq warq khula hua,

Mujhe hmsafar b mila koi to meri tarah hi luta hua,



Kabhi manzilo'n se thaka hua,

kabhi qafilo'n se luta hua,



Mujhe ik gali mai para hua kisi badnaseeb ka khat mila,

Kahin khoon_e_dil se likha hua, kahin ansuo'n se mita hua.

Post a Comment

1 Comments