Bahaar tham, abhi jashn-E-bahaar baqi hai

Bahaar tham, abhi jashn-E-bahaar baqi hai

Rubaru gul hai, par deedar-E-yaar baqi hai



Hazaar sajde kiye dear-O-haram mein phir bhi

Lahoo mein shar, aur dil par ghubaar baqi hai



Ye sab jaam-E-muhabbat ka asar hai saqi

Raat dhal gayi phir bhi khumaar baqi hai



Khuda ki zaat se umeed chorte kiyon ho ?

Khiza'an k baad samaa khush'gawaar baqi hai



Lab-E-darya yahaan koi shaher tha shayad

Lekin us ki faqat kuch diwaar baqi hai



Phir shuruaat nai mujh se huwi

Phir ek parwaaz sitaroon ke dayaar baqi hai

Post a Comment

0 Comments