Dastaras Mein Nahi Halaat Tujhe Kia Maloom

Dastaras Mein Nahi Halaat Tujhe Kia Maloom
Dastaras Mein Nahi Halaat Tujhe Kia Maloom
Ab Zarori Hai Mulaqat Tujhe Kia Maloom

Raat Ke Pichhly Pehr Neend Shikan Tanhai
Kaise Karti Hai Sawalat Tujhe Kia Maloom

Tu Bazid Hai Ke Sar e Aam Parastish Ho Teri
Main Hoon Paaband e Riwayat Tujhe Kia Maloom

Jashan Sawan Ka Youn Barh Charh Ke Manaane Wale
Zulm Kia Dhaati Hai Barsat Tujhe Kia Maloom

Shaana e Waqat Pe Ab Zulf e Preshan Ki Tarha
Bikhri Rehti Hai Meri Zaat Tujhe Kia Maloom

دسترس میں نہیں حالات تجھے کیا معلوم
اب ضروری ہے ملاقات تجھے کیا معلوم 

Post a Comment

0 Comments