Dekho kabhi to meri taraf Khush-dili k saath,
Kiya farz hai k baat karo be-RuKhi k saath,
Hans hans k jee raha hoon Gham-e-zindagi k saath,
Tu Hausla to dekh mera be-basi k saath,
Jeena Khushi k saath, na marna Khushi k saath,
Kiya Khoob zehmaten hain ye dil ki lagi k saath,
Gham se nijaat paaen to paaen wo kis tarah,
Ye Gham laga huwa hai har ik aadmi k saath,
Khud se bhi aashna hoon Khuda Aashna bhi hoon,
Ek gum-rahi ka daaGh hai is Aagahi k saath,
Uzair tumhein sataaish e duniya ki fikar hai,
laazim hai shart-e-daad bhi kiya shaairi k saath !!
0 Comments