Gull bhi gulshan main kahan ghuncha dahan tum jesse.

Gull bhi gulshan main kahan ghuncha dahan tum jesse.

Koii kiss muo se kare tum se sukhan tum jesse.



Ye mera husan_e_ nazar hai to dekha dae koii.

Qamat_o_gesu_o_

rokhaar_o_dahan tum jesse.



Ab to qased se bhi har baat jhajak kar khena.

Le gaye ho mera be sakhta pan tum jesse.



Ab to nayaab hue doshman_e_derina tak.

Ab kahan aye mere yaaraan_e_kuhan tum jesse.



Kabhi hum per bhi ho ahsaan k bana dete ho.

Apni aamad se bayaban ko chaman tum jesse.



Kabhi in lala qubaaon ko bhi dekha hai ,FARAZ,

Phene phrte hain jo khowabon k kafan tum jesse.

Post a Comment

0 Comments