Hawa thami thi zaroor Lekin

Hawa thami thi zaroor Lekin

Wo shaam bhi jesay sisik rahi thi



K zard patton ne Aandhiyon se ajab Qissa suna tha

K jis ko sun kar tamaam pattay



Sisik rahe thay Bilik rahe thay,

Jaanay kiss sanahay k ghum mein

Shajar jaron se ukhar chuke thay



Bahut talasha tha hum ne tum ko..

Har aik raasta Har aik waadi

Har aik parbat

Har aik ghati..



Magar kaheen se teri khabar na aayi

To ye keh k hum ne dil ko tala!



Hawa thamy gi to dekh len gain

Hum us k raston ko dhoond Lain gain



Magar hamaari ye khush khiyali

Jo hum ko barbad kar gai thi

Hawa thami thi zaroor lekin!

Bari he muddat guzar chuki thi,



Hamary baalon k janglo me

Sufaid chandi utar chuki thi,



Flaq pe taray nhi rhe thay

Glab pyary nahi rhe thay

Wo jin se basti thi dil ki basti

Wo log saray nhi rahe the

Mgr ye almiya sb se balatr tha



K hm tmharay nahi rhay thay

K tm hmaray nhi rahay thay



Hawa thmi thi zarur lekin

Bari hi muddat guzar chuki thi

Post a Comment

0 Comments