Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai

Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai

Ehsas ki is tanhai mein ye raat gaye kon aya hai



Aye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya hai

Wo meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya hai



Mein phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron ko

Ankhon ki ibaadat ka mein ne bss aik yehi phal paya hai



Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi o gham ke hangamey

Sunte hain Chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai

Post a Comment

0 Comments