Kaaghaz Ki Kashtiyaan Thien Bahaao Bhi Khoob Tha,
Mausam Ka Paaniyon Se Lagaao Bhi Khoob Tha.
Manzar Tere Khayaal Ke Sab Toot'te Rahe,
Sochon Ka Waswason Se Bachaao Bhi Khoob Tha.
Zarrey Chamak Rahe They Falak Se Zameen Tak,
Sehra Mein Chaandni Ka Paraao Bhi Khoob Tha.
Bilkul Badal Gaye They Taqaazey Bhi Adal Ke,
Mansaf ka Aik Simt Jhukaao Bhi Khoob Tha.
Chaahat Ke Lafaz Saare Baghaawat Mein Dhal Gaye,
Jalti Hui Anna Ka Allaao Bhi Khoob Tha.
Aansu Bhi Ker Sake Na Haqeeqat Ko Be-Naqaab,
Teri Taraf Se Aakhri Ghaao Bhi Khoob Tha..!
0 Comments