Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,

Dil ko khushi k sath sath hota raha malal bhi,



Baat wo aadhi raat ki raat wo pore chand ki,

Chand bhi ain chait ka us pe tera jamal bhi,



Sab se nazar bacha k wo mujh ko tha aise dekhta,

Ek dafa to ruk gai gardish-e-mah-o-saal bhi,



Dil to chamak sake ga kya phir b taraash ke dekh lo,

Shishaa garan-e-shahar ke hath ka ye kamal bhi,



Usko na pa sake the jab dil ka ajib haal tha,

Ab jo palat k dekhiye baat thi kuch muhaal bhi,



Meri talab tha ek shakhs wo jo nahi mila to phir,

Hath dua se youn gira bhool gya sawal bhi,



Sham ki na-samjh hawa pooch rahi hai ek pata,

Mauj-e-hawa-e-ku-e-yaar kuch to mera khayal bhi,



Uske hi bazoun me aur usko hi sochte rahe,

Jism ki khwahishon pe the ruh ke aur jaal bhi,

Post a Comment

0 Comments