Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai
Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra, MOHSIN
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai.!
0 Comments