Suna hai aur koi bhi chaahney laga hai tumhain
Hum sy ziyada agar toot k chaahy to us k ho jana
Hum ny tumhaari yaad mein Aansu k darya bahaa diye
Us ki aankh mein nami bhi aa jaaye to us k ho jana
Hum ny tumhaari khaatir khud ko jalaa diya
Us ne agar charagh bhi jalaa diya to us k ho jana
Hum ne tumhaare liye apni neend qurbaan kar deen
Woh ik shab bhi tere liye jaagy to tuM us k ho jana
Buss agar koi mujh sy ziyada tum ko chaahy to us k ho jana,

0 Comments