Teri zulfoN se jugnu, iktisaab-e-noor karta hai,

Teri zulfoN se jugnu, iktisaab-e-noor karta hai,

Ye bunjara isi bun mein, thakaawat door karta hai.



Khirad jo kuch bhi karti hai, hudood-e-rasm k andar,

Junoon jo kuch bhi karta hai bila-dastoor karta hai.



Jo khair-andesh bhi donu ka hai, wo kis sakhawat se,

Mujhe badnaam karta hai, tumhein mash'hoor karta hai.



Mujhe toba ka pura ajar milta hai ussi saa'at,

Koi zohra-jabeen peene pe jab majboor karta hai.



Wo hans kar baat he kar lein, to kafi se ziyaada hai,

Pari-zaadon se jhugrra kab koi mazdoor karta hai...

Post a Comment

0 Comments