Tum mere dard bhi, gham bhi,
alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera
araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe
chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye
nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera
wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera
ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke
me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera
jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe
sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera
naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai
bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to
teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi
ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho,
dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe
sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har
kaam bhi tum..
0 Comments