Zawiya jitna nigahoon ka sanwar jata hai,

Zawiya jitna nigahoon ka sanwar jata hai,

Tera rukhsaar bhi utna he nikhar jata hai,



Aese lamhaat bhi aate hain rah_e_ulfat mein,

Ya wafa haath se jaati hai ya to sar jata hai,



Main tere gham mein bhala aashq bahaon kab tak,

Aankh to aankh hai darya bhi utar jata hai,



hasti_e_gul hai faqat chand adao'n pe muheet,

Phool sharmata hai, hansta hai bikhar jata hai,



Qurbat_e_yaar se "Mohsin" ko baqqa milti hai,

zarf parwane ka chota hai k mar jata hai.

Post a Comment

0 Comments