Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun


Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun
Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun

Gul Tere Dil Mein Khilain Aur Mehek Jaon Mein
Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun

Kiun Ganwaara Ho Tere Dard Mein Bhee Shirkat-e-Gair
TU Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun

Justuju Ke Lye Rehta Hai Bahaana Darkaar
Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun

Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar
Khush Bhee Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun

Mein Hun Ik Tarfa Bhikaari, Koi Meri Bhee Suno
Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun

Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun
Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun

Mera Mansab Nahee Paighambar-e-Fun Bannay Ka
Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun

Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai
Ke Mein Qatray Mein Samandar Ko Dubona Chaahun

Post a Comment

0 Comments