Hairton k silsly Soz-e-Nihaan tak aa gaye,
Ham Nazar tak chahty thy tum tu Jaan tak aa gaye.
Unki palkon par sitary apny honton py hansi,
Qisa-e-Gham kehty kehty ham kahan tak aa gaye.
Apni apni justju hy apna apna shoq hy,
Tum Hansi tak b na pohnchy ham Faghaan tak aa gaye.
Rafta rafta Rang laya Jazba-e-Khamosh Ishq,
Wo Taghaful karte karte Imtihan tak aa gaye.
Khud tumhen Chaak-e-Gireybaan ka Shaoor aa jaye ga,
Tum Wahan tak aa tu jao hum jahan tak aa gaye.
0 Comments