Tujh Ko Bhoolay Hain To Kuch Dosh Zamaanay Ka Na Tha,
Ab K Lagta Hai K Ye Dukh Hi Thikaanay Ka Na Tha,
Ye Jo Maqtal Se Bacha Liye Hain Saroo'n Ko Apne,
Un Main Ik Shakhs Bhi Kiya Mere Ghar'aanay Ka Na Tha,
Har Baras Taza Kiya Ehd-e-Muhabbat Ko Abus,
Ab Khula Hai K Ye Tehwaar Manaanay Ka Na Tha,
Ab K Be-Fasal Bhi Sehra, Gul-o-Gulzaar Sa Hai,
Warna Ye Hijar Ka Mausam Tere Aanay Ka Na Tha,
Dosh Par Baar-e-Zamana Bhi Liye Phirte Hain,
Mas'ala Sirf Tere Naaz Uthaanay Ka Na Tha,
Yaar ! Kiya Kiya Teri Batoo'n Ne Rulaya Humein,
Ye Tamaasha Sar-e-Mehfil To Dikhaanay Ka Na Tha,
Koi Kis Mounh Se Kare Tujh Se Shikayat Jaana,
Jis Ko Tu Bhool Gaya Yaad Hi Aanay Ka Na Tha,
Aaye Din Ik Aafat Chali Jaati Hai "Faraz"
Ab Pashemaan Hain K Ye Shehar Basaanay Ka Na Tha,

0 Comments