Utaar Lafzon Ka Ik Zakheerah Nazar Ko Taza Khayaal De Day
Khud Apni Shohrat Pe Rashk Aaye Nazar Ko Aisa Kamaal De Day
Sitaarey Taskheer Karne Wala, Parosiyon Se Bhi Be-Khabar Hai
Agar Yehi Hai Urooj-e-Aadam To Phir Hamein To Zawaal De Day
Teri Taraf Se Jawaab Aaye Na Aaye Parwah Nahi Hai Is Ki
Yehi Bahut Hai Hum Ko Ya Rab Tu Sirf Azn-e-Sawaal De Day
Hamaari Aankhoon Se Ashk Tapkein Labon Pe Muskaan Dorrti Hai
Jo Hum Ne Pehle Kabhi Na Paya Tu Ab K Aisa Malaal De Day
Kabhi Tumhaare Qareeb Reh Kar Bhi Dooriyon K Azaab Jhailen
Kabhi Kabhi Yeh Tumhaari Furqat Bhi, Hum Ko Lutf-o-Malaal De Day ..
0 Comments