Zameen Pey Chal na saka aur Aasman sey bhi gaya

Zameen Pey Chal na saka aur Aasman sey bhi gaya

Katwa k par wo parinda uraan sey bhi gaya



Bhula diya to bhulaney ki intaha kar di

Ab main us shaks k wahm-o-guman sey bhi gaya



Kisi k hath sey nikla howa teer hun main

Jo hadaf ko choo na saka aur kaman sey bhi gaya



Tabah kar gai mujhy pakky makan ki khwahish

main apney gaoon k kachy makan sey bhi gaya



paraai aag main kooda to kiya milla Tujh ko WASI

Usey bacha na saka aur apni jan sey bhi gaya.

Post a Comment

0 Comments