Ghum Sum Howa
Awaz Ka Dariya Tha
Wo Ek Shakhs.
Pathar bhi nahin ab
wo sitara tha jo ik
shakhs.
Shayd wo bhi koi
harf-e-wafa dhoond
raha tha.
Chehroon ko baray
ghor se parta the wo
ik shaks.
Sehra ki tarah dair
se piyasa tha wo
shayad.
Badal ki tarah toot
k barsa tha wo ik
shakhs.
Mur mur key isay
dekhna chahain meri
akhain.
Kuch door mujhe
chhornay aaya tha jo
ik shakhs.
Har zehn main kuch
naqsh-e-wafa chhor
gaya hai.
Kehnay ko bharay
shehr main tanha tha
jo ik shakhs.
Munkar hai wohi ab
meri pehchan ka
MOHSIN
Aksar mujhe khat
khoon se likhta tha jo
ik shakhs.
0 Comments