Logon K Liye Sahib-E-Qirdar Bhi Main Tha,
Khud Apni Nigahon Me Gunhagar Bhi Main Tha.
Kiun Ab Mere Mansab Ki Salami Ko Kharre Ho?
Yaro Kabhi Ruswa Sar-E-Bazar Bhi Main Tha.
Main Khud Hi Chupa Tha Qaf-E-Qatil Ki Shikan Me,
Maqtool Ki Tooti Hoi Talwar Bhi Main Tha.
Cheente Hain Jahan Ab Mere Masoom Laho K,
Us Farq-E-Falak-Naaz Ki Dastar Bhi Main Tha.
Meri Hi Sadaa Lout K Aai Hai Mujh Hi Tak,
Shayad Had-E-Aflak K Us Paar Bhi Main Tha.
Manzil Pe Jo Pohancha Hon Tu Maloom Howa Hai,
Khud Apne Liye Raah Ki Deewar Bhi Main Tha.
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai To Lekin,
Kal Tak Teri Pehchan Ka Mayar Bhi Main Tha.
Dekha Tu Main Afsha Tha Har Ek Zehan
Socha Tu Pass-E-Parda Israar Bhi Main Tha....
0 Comments