Zaavia jitna Nigahon ka sanwar jata hai,
Tera Rukhsaar bhi utna hi nikhar jata hai,
Aisy lamhaat bhi Aaty hain
Rah-e-Ulfat men,
Ya wafa hath se jati hai ya Sar jata hai,
Main tery gham men bhala ashk bahaon kab tak,
Aankh to aankh hai Darya bhi utar jata hai,
Hasti-e-gul hai faqat chand adaaon pey Muheet,
Phool sharmata hai, hansta hai,
Bikhar jata hai,
Qurbat-e-yaar sey "MOHSIN" ko baqa milti hai,
Zarf parwany ka chota hai jo mar jata hai.....!
0 Comments