Q Uthaatay Ho Sar-e-Bazm Ye Bekaar Ki Baat
Lo Suno Meri Zuban Deeda-e-Bedaar Ki Baat
Ghair Ki Main Jal Jal K Huwe Surma-e-Toor
Meray Kaano Ne Suni Toot'ti Talwaar Ki Baat
Dhoop Ki Sakht Tamazat Main Jala Hon Barson
Dil Jalaye Gi Kahan Aatish-o-Angaar Ki Baat
Mujh Ko Samjha Diye Halaat Ne Maaena Matlab
Main Bhala Kaise Karon Ghairat-e-Pindaar Ki Baat
Shab-e-Hijraa'n Hai, Kahan Tootay Ga Rishta Dil Ka
Hai Ye Qismat Main Likhi Waqt K Iqraar Ki Baat
Aatish-e-Sooz Main Jalnay Se Mili Shaan-e-Faqr
Is Liye Aai Zuban Khalq Pe Kirdaar Ki Baat
Jurr Gaya Dil Se Takhayul Ka Taluq Jab Se
Jhooti Lagnay Lagi Har Sahib-e-Guftaar Ki Baat
Jab Se Khuwabon Main Tamanao'n Ne Chehra Badla
Mujh Ko Dasnay Lagi Har Shookhi-e-Gulnaar Ki Baat
Meray Dil Ne Jo Taraasha Tha Sanam Pathar Ka
Hai Faqat Meray Liye Aaj Bhi Aazaar Ki Baat
Meray Ehsaas Ko Mil Jaata Yahan Qurb
Main Agar Sun K Yaqee'n Karta Na Deewar Ki Baat
0 Comments