Abhi waqt hai abhi sans hai abhi loat aa merey GUMSHUDA.
Mujhay naaz hai bare zabt ka mujhay khoon rula merey GUMSHUDA..
Ye nahi k tere firaaq mein main ujar gaya ya bikhar gaya.
Han! muhabaton pe jo maan tha wo nahi raha mere GUMSHUDA..
Mujhay ilam hai k tu chand hai kisi aur ka magr aik pal.
Merey Aasman-e-Hayat pe zara jagmaga merey GUMSHUDA..
Terey iltfaat ki barishein jo meri nahi to bata mujhay.
Tere Dasht-e-Chah mein kis liye mera Dil jala merey GUMSHUDA..
Ghaney jangloon mein ghira hon main bara ghup andhera hai char soo.
Koi ik chiragh to jal uthay zara muskara, merey GUMSHUDA..

0 Comments